Author |
Message |
|
|
Faixan
5 Star Member

Joined: 28 Mar 2009 Posts: 3690
|
|
|
|
KHYDAWAND TEREY SADEY BANDEY KIDHER JAYEN
DARWESHI BHI AYAARI HE SULTANI BHI AYYARI..
|
|
Fri Nov 12, 2010 8:49 pm |
|
 |
M_Ali
Junior PK Member

Joined: 10 Dec 2010 Posts: 78
|
|
To Youth of Islam |
|

|
|
Fri Dec 10, 2010 4:27 pm |
|
 |
M_Ali
Junior PK Member

Joined: 10 Dec 2010 Posts: 78
|
|
Marde-e-Muslman |
|

|
|
Fri Dec 10, 2010 4:29 pm |
|
 |
mehndi01
Forum Family Member


Joined: 07 Jan 2009 Posts: 6899
|
|
|
|
utho meri dunya k garibon ko jaga do
khak-e-umra k dar-o-diwar hila do
garmao gulamon ka lahu soz-e-yaqin se
kunjishk-e-phiromaya ko shahin se lara do
sultani-e-jamahur ka ata hai zamana
jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aye mita do
jis khet se dahqan ko mayassar nahin rozi
us khet k har khosha-e-gandum ko jala do
kyon khaliq-o-makhluq mein hayal rahen parde
piran-e-kalisa ko kalisa se hata do
main nakhush-o-bezar hun marmar k silon se
mere liye mitti ka haram aur bana do
tahazib-e-nawin kargah-e-shishagaran hai
adab-e-junun shayr-e-mashriq ko sikha do
_________________ SALAAM PAKISTAN
�people survive wars. People Survive disasters. People survive pain. People survive sadness. People survive hurt. People survive People. so why wouldn't I, one of the people, survive this? i will InshaAllah" |
|
Fri Dec 10, 2010 4:32 pm |
|
 |
Blue^Eyes
Pak Newbie
Joined: 10 Jan 2011 Posts: 25
|
|
|
|
wow very nice Poetry, really i liked it, Thanks for sharing, Keep it up
|
|
Tue Jan 11, 2011 2:17 pm |
|
 |
urfi67
Forum Family Member


Joined: 25 Apr 2008 Posts: 8248
|
|
|
|
Good work by everyone,,,kindly keep this topic fresh and alive
|
|
Sat Feb 05, 2011 12:02 am |
|
 |
I K QAZI
Moderator


Joined: 03 Apr 2008 Posts: 16387 Location: Germany |
|
|
|
Meree zindagi ka maqsad teree deen ki sarfrazi
Meh isiliye mujahid meh isiliye namazi.
[O'Allah The Objective of my life is to work for the Glory of Islam and therefore,
I serve as a Soldier of Islam and offer Prayers.]
Parwaaz hai dono ki isi ek fizaan mein
Karghaz(vulture) ka jahan aur hai, Shaheen(falcon) ka jahaan aur
[The vulture and the falcon fly in the same sky, but both have different
ways of living. A vulture eats carrion while a falcon preys. So which is
more majestic and awesome]
Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle
Khuda bande se khud pooche, batta teri razaa kya hai
Mitta de apni hasti ko agar kuch martaba chaahata hai
Ke daana khaak mein mil kar gul-e-gulzaar hota hai
Tere azzaad bandon ki na yeh duniya na woh duniya
yaha marne ki paabandi vahaan jeene ki paabandi
Na tu zameen ke liye hai na aasmaan ke liye
Jahaan hai tere liye tu nahi jahaan ke liye
Ki Mohammed se vafa tune to hum tere hai
Yeh jahaan cheez hai kya loh-o-qalam tere hai
Yu Tho Syed bhi ho, Mirza bhi ho, Afghan bhi ho
Tum sabhi kuch ho, batao kya musalman bhi ho
Wo aik Sajda jisay tu giran samajhta hai
hazar sajdon say deta hai is admi ko nijjat
Alfaz-o-maani mein tafawat(difference) nahi lekin
Mullah(religious person) ki azaan aur, mujaajid(holy warrior) ki azaan aur
[The mullah and the mujaahid both utter the same words Allahu Akbar
but there is a difference in the forcefulness of each]
Namaaz-o-roza-o-qurbaani-o-haj
yeh sob bakhi hai tu bakhi nahi hai
Aaj bhi ho jo Ibrahim sa Imaan paida
Aag kar sakti hai andaaz-e-gulistaan paida
[Prophet Ibrahim(AS), as you may recall, was made to jump into a fire,
but he was saved by virtue of his faith, which transformed the fire into a bed of flowers]
_________________ Tark e Taluq Ki Kya Tojeeh Paish Karen
Bohat Si Baaton K Jawaab Nahi Hotay
Kon Kis K liye Tabah Huwa Hai Qazi
Sachay Ishq Mey Ye Hisaab Nahi hotay |
|
Sat Jul 23, 2011 2:46 pm |
|
 |
My Pakistan Online
Pak Newbie
Joined: 22 Jul 2011 Posts: 23 Location: Pakistan |
|
iqbal |
|
Daag-e-sajood
Agar teri peshani pey
Howa to kiya howa…
Koi aisa SAJDA
bhi tu kr k ZAMEEN pey
nishaan rahey..
*Allama Iqbal*
|
|
Sat Jul 23, 2011 3:23 pm |
|
 |
My Pakistan Online
Pak Newbie
Joined: 22 Jul 2011 Posts: 23 Location: Pakistan |
|
usay barish pasand hy |
|
Usey Barish pasand Hai.
Mujha Barish Mein Wo…
Usey Hasna Pasand Hai..
Mujhe Hastey Houe Wo…
Usey Bolna Pasand Hai..
Mujha Boltay Houi Wo…
Usey Sub Kuch Pasand Hai…
Aur Mujha Bus Wo….
|
|
Sat Jul 23, 2011 3:24 pm |
|
 |
My Pakistan Online
Pak Newbie
Joined: 22 Jul 2011 Posts: 23 Location: Pakistan |
|
dua |
|
“Ya ALLAH poori dunia main jitne musalman bemar hen ya preshan hen tu un ko apne fazal se maaf farma or un ki bemari or preshaniyon ko khatam farma or ya ALLAH jis ne ye Dua likhi us ko sihat’e kamila atta farma or jis ne agay bheji us ki preshaniyn ko Hal farma, Ameen.
|
|
Sat Jul 23, 2011 3:25 pm |
|
 |
My Pakistan Online
Pak Newbie
Joined: 22 Jul 2011 Posts: 23 Location: Pakistan |
|
beautiful sher |
|
Ajnabi logo mai bhi dost mila krte hain…
Kitabo mai bhi phool khila krte hain…
Hamain kante smjh kr bhul mat jana….
Kyu ke kante hi phool ki hifazt kia krte hain.
|
|
Sat Jul 23, 2011 3:26 pm |
|
 |
My Pakistan Online
Pak Newbie
Joined: 22 Jul 2011 Posts: 23 Location: Pakistan |
|
best and best |
|
himat nahi ha k hum apni dastaan e zindagi suna saken
aaaammirrrrrrr
mukhtasir suno jiss ney bhi tora g bhar k tora
|
|
Sat Jul 23, 2011 3:28 pm |
|
 |
My Pakistan Online
Pak Newbie
Joined: 22 Jul 2011 Posts: 23 Location: Pakistan |
|
halki halki barish |
|
“Aaj Halki Halki Barish Hai”
Aaj Sard Hawa Ka RaQs B Hai”
Aaj Phool Bhi Nikhrey Nikhrey Hain”
“Aaj Un mein Tera Aks B Hai”
Aaj Badal Kaley Gehrey Hain”
“Aaj Chand Pe Lakhon Pehrey Hain”
“Kuch Tukrey Teri Yadon Ke
Bari Der Se Dil Mein Thehrey Hain”
Aaj Zehan Pe Tum Hi Chaye Ho
Aaj
YAAD Bohat TUM AAye Ho.
|
|
Sat Jul 23, 2011 3:29 pm |
|
 |
My Pakistan Online
Pak Newbie
Joined: 22 Jul 2011 Posts: 23 Location: Pakistan |
|
pure urdu |
|
Talash e Manzil k marhalon me ye hadsa ik ajeeb dekha.
Faraib rahon me baith jata hai soorat e Eitbar ban kr.
Gharoor-e-Hasti ne mar dala
Wagarna hm loag jee hi lete.
Kisi ki Ankhon ka Noor ho kr
Kisi k dil ka qarar ban kr.
Dayar-e-peer-e-mughaan me aa kr
ye ik Haqeeqat khuli hai “SAGAR”
Khuda ki basti k rhne waly to loot lete hen yar bn kr
|
|
Sat Jul 23, 2011 3:30 pm |
|
 |
My Pakistan Online
Pak Newbie
Joined: 22 Jul 2011 Posts: 23 Location: Pakistan |
|
what u say about this verse??? |
|
Yeh Warq Warq Teri Daastaan,
Yeh Sabaq Sabaq Tere Tazkaray,
Main Karoon To Kaisay Karoon Alag,
Tujhay Zindagi Ki Kitaab Say.
|
|
Sat Jul 23, 2011 3:30 pm |
|
 |
My Pakistan Online
Pak Newbie
Joined: 22 Jul 2011 Posts: 23 Location: Pakistan |
|
btful dua |
|
Zindagi me her dum hastey raho,
Hasna zindagi ki zarorut hai,
Zindagi ko is andaz mei jiyo k,
Aap ko dekh ker log kahen “wo dekho”
zindagi kitni khubsoorut hai
|
|
Sat Jul 23, 2011 3:31 pm |
|
 |
My Pakistan Online
Pak Newbie
Joined: 22 Jul 2011 Posts: 23 Location: Pakistan |
|
funny poetry |
|
Hansi ko inbox,
Ansu ko outbox,
Ghussay ko hold,
Muskan ko sent,
Help ko OK karo,
Dil ko karo vibrat,
phir dekho zindagi ki ringtone
kitni pyari mehsos ho gi,
|
|
Sat Jul 23, 2011 3:32 pm |
|
 |
My Pakistan Online
Pak Newbie
Joined: 22 Jul 2011 Posts: 23 Location: Pakistan |
|
tum ne chaha hi nhi |
|
Tum Ne Chaha Hi Nahi Haalat Badal Saktay Thay
Terey Aansoo Meri Aankhoon Se Nikal Saktay Thay
Tum To Theray Rahay Jheel K Pani Ki Terhan
Derya Bantay To Bohat Door Nikal Saktay Thay
|
|
Sat Jul 23, 2011 3:32 pm |
|
 |
My Pakistan Online
Pak Newbie
Joined: 22 Jul 2011 Posts: 23 Location: Pakistan |
|
amazing |
|
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hun, Na Kisi Ke Dil Ka Karaar Hun
Kisi Ke Kaam Na Aa Sake, Main Wo Ek Musht-e-Gubaar Hun
Mera Rang-Roop Bigad Gaya, Mera Yaar Muzse Bichhad Gaya
Jo Chaman Khiza Se Ujad Gaya, Main Usi Ki Fasll-e-Bahaar Hun
|
|
Sat Jul 23, 2011 3:33 pm |
|
 |
My Pakistan Online
Pak Newbie
Joined: 22 Jul 2011 Posts: 23 Location: Pakistan |
|
love it |
|
Ana Ki Baat Hai Warna Mohabbat Ab B Baki Hai
Usay Meri Mjhe Uski Zarorat Ab B Baki Hai
Koi Mushkil Agar Darpaish Aye Laut Ana Tum
Tumhare Waste Dil Mie Aqeedat Ab B Baki Hai
Bala Ki Sard Mehri Hai Meri Har Baat Mie Lekin
Mere Seenay Mien Chaht Ki Hararat Ab B Baki Hai
|
|
Sat Jul 23, 2011 3:34 pm |
|
 |
My Pakistan Online
Pak Newbie
Joined: 22 Jul 2011 Posts: 23 Location: Pakistan |
|
beautiful sms |
|
Aqwal-e-Imam Jaffar Sadiq [R.A]
1- Deen Sarap Adab Hy
Jo Is Ka Lihaaz Na Rakhe
Wo bad-Naseeb Hy
2 – Intiqam Ki Taqat Rakhte Huey,
Ghussey Ko Pee Jana
Afzal Tareen Jihaad Hy
|
|
Sat Jul 23, 2011 3:35 pm |
|
 |
My Pakistan Online
Pak Newbie
Joined: 22 Jul 2011 Posts: 23 Location: Pakistan |
|
friendship |
|
Friendship Is Not Written By Chalk
2 Erase Or Write Again.
It’s Written With Da Ink Of Love
On The Wall Of Heart
Once Written Can’t Be Changed Dat Frndship
|
|
Sat Jul 23, 2011 3:36 pm |
|
 |
Aleema_Akhtar
Pak Newbie

Joined: 23 Aug 2011 Posts: 48 Location: Great Pakistan |
|
|
|
بہت اچھی پوسٹ ہے
|
|
Thu Sep 15, 2011 11:00 am |
|
 |
A.$.H
Senior Proud Pakistani


Joined: 12 Jun 2010 Posts: 1781
|
|
|
|
'YE SHAHAADAT GII ULFAT MAIN KADAM RAKNA HY'
'LOG AASAAN SAMJHTE HAI MUSALMAAN HONA...'
|
|
Sun Oct 02, 2011 7:20 am |
|
 |
akarbakarbambabo
Full PK Member


Joined: 28 Feb 2010 Posts: 359
|
|
|
Sun Nov 20, 2011 5:59 am |
|
 |
|
|
|
ForumPakistan.com
Bookmark site!